Monday, March 21, 2011

Accha hi kiya !


Jaane kyun hum aaj bhi dua karte hai uski khusi k liye..
Ae kaash woh lauta de mere woo sab beete din meri khusi k liye..

Kya soch kar usne badal li apni rahein..
Koi jaakar bataye usse,koi marta nahi kisi k liye..

The aur bhi raaste saath nibhaane k liye..
Kyon usne chuna raaste sirf judaai k liye..

Woh hoti rhi dheere dheere mujhse door, kareeb mein jitna aana chaha..
Usne ek raah khuli na rakhi apni waapsi k liye..

Maana k meri kismat ne kiya mujhe dur tumse..
Kya tumhare haathon ki lakheeron mein likha tha mujhse judaa hone k liye..

Ab bhi hai mere dil mein jazbaat na jaane kis trha..
Accha hi kiya tha maine apni dosti k liye..